Thursday, 19 February 2015

tumhein jana ejazat hy

tumhein jana ijazat hy........!
k in tareek rahu par
thakn si khud main pao yoo
andheroon se kabhedil dol jay
thaak si jao too
mere jalty hoy lamhun
mere kangal hathoon se chudha k apne hathoon ko
faza ki nagmagi se tum naye getoon ko chun lena
hasee palkoon ki noku par naye kuch khwab bun laina
koe gar puch lay mera too us se zakar mat karna
mere jivan ki jalti dopehar se be garz ho kr
tum apni chandni ratun main jugno palti rehna
meri tanhaeyun ki wehshat ki fikr mat karna
tumhein is ki ijazat hy
mere sub khat jala dena
mere tohfu ko bhaha dena ya jala dena
meri hr yaad ko dil se khurachna or bhula daina
tumhein bilkul ijazat hy
k jab chaho bhula dena
maghar etni guzarish hy
aghar esa na ho jana
too acha hy.........

No comments:

Post a Comment