Sunday, 22 February 2015

tumhein wapas bhi

tumhein wapas bhi jana hai

kabhi tum ne ye socha hy,kisi ki sochti saada ki ankhon main

udassi ki khaffi qehreer tum ne sub mita dali

dhanak sapoon ka jal phr se ik bun dain

in main mgr jana zara socho

agr iss bar bhi sapne kisi ne toor daly to,

wo inn ki kirchiyan sari ki sari,apni palkon main chpa laingee

agr zindagi ke bhies main phair marag nikli to,Galy us ko lga laingee

tum aisa keu nahi kary

abi say unko batt la do

tumhein wapas bhi jana hai

No comments:

Post a Comment