Thursday, 19 February 2015

last call

kal hamesha ki tarha us ne kaha ye phone par

main bohat masroof hu mujko bohat se kaam hain

es liye tum ao milne mein tu aa sakti nahi

har rawayat toor kar es bar mein ne keh diya

tum jo ho masroof,to mein bhe bohat masroof hu

tum jo ho mash,hor tu ma bhe bohat maroof hu

tum agr gam,geen ho mein bhe bohat ranjoor hu

tum thakan se chur ho tu mein bhe thakan se chur hu

us ko ye keh k wasi mein rasiwar rakh dia

or pheir apni ana k paoun pe sar rakh dia

No comments:

Post a Comment